Posts

Showing posts from October, 2020
waqt nahi lagta waqt ko badalne me, kal tak jiske liye hum jaan dene ko tayyar the aaj uski jaan bhi nhai kehlana chahte, kal tak jiski mohabbat ke aage sab phika lagta tha, aaj uski mohabbat me dhokha aur fareb nazar aata hai, jo ishq usne dikhaya tha wo bas ek dikhawa tha duniya ko dikhane ko kitna pyaar hai use mujhse  jitna duniya me koi kar nahi sakta, par jab aayi uski sacchai mere samne toh mujhe khud se hi nafrat ho gayi ki  aise insaan ke liye mai khud se hi juda ho gayi, aise insaan ke liye main khud ko hi bhul gayi, uski muskurahat me apni khushi dhund li, aur apni khushi ko dabati chali gayi, aur apni saari daulat us par udati chali gayi,  maine toh kar di thi uske naam ye zindagi aur wo kisi aur ko hi apni zindagi manta raha, uski khamoshi ko maine ishq samjh liya aur wo meri mohabbat ka mazak udata raha, mai usse sacchaa ishq kar baithi aur  wo bas meri nakal utarta raha...